Saturday, 25 February 2017

Inspirational Shayari Collection 2


1. Na Puchho Ke Meri Manjil Kaha Hai
Abhi To Safar Ka Irada Kiya Hai
Na Haroonga Hosla Umar Bhar
Ye Mene Kisi aur se nahi khud se vada kiya hai.



2. Aaj Baadlo Ne Fir Sajish Ki
Jaha Mera Gar Tha Wahi Baarish ki
Agar Falaq Ko Zid Hai Bijliya Girane Ki
To Hame Bhi Zid Hai Wahi Par Aashiyan Banane Ki.



3. Hawa Mein Taash Ke Ghar Nahi Bante
Rone Se Bigde Muqadar Nahi Bante
Duniya Jitne Ka Hosla Rakh -e- Dost
Ek Jeet Se log Sikandar Nahi Bante.



4. Har pal pe tera hi naam hoga,
Tere har kadam pe dunia ka salaam hoga
Mushkilo ka samna himmat se karna, 
Dekhna ek din waqt bhi tera gulaam hoga.



5. Kissa vo likho jo mashhur ho jaay,
Dost vo na banao jo door ho jaay,
Mohabbat karo ya na karo jindagi main,
Kuch aisa kar jaao ke log tumse mohhabat karne ko majbur ho jaay. 



6. Kare koshish agar insaan to kya kya nahi milta .
Vo sar utha ke to dekhe jise rasta nahi milta.
Bhale hi dhoop ho kaate ho raho me par chalna to padta hi hai,
Kyoki kisi pyase ko ghar baithe dariya nahi milta.



7. Rone se taqdir badalti nahi
Waqt se pahle raat dalti nahi
Dusaron ki KAMYABI lagti hai aasan
Magar KAMYABI raste mein padi milti nahi



8. Arrey mil bhi jaye KAMYABI aasani se agar
To aisi KAMYABI kabhi pachati nahi
Arrey KAMYABI chahiye to paani mein aag lagani padegi
Magar ye bhi such hai ki paani mein aag aasani se lagti nahi
Arrey hath pe hath rakhane se pahle soch zara
Yun hi baithe-baithe to kismat kabhi sawarti nahi.



9. MUSKILEN DIL KE IRADE AZMATI HAIN,
THOKREN INSAN KO CHALNA SIKHATI
GIRKE MAT HARNA TUM,
YAHI THOKREN HAME CHALNA SIKHATI HAI



10. Apni jameen apna aakash paida kar, 
Apne karmon se naya itihaas paida kar,
Mangne se manjil nahi milti ai dost,
Apne har kadam pe naya viashwas paida kar.



11. Jo safar ikhtiyar karte hai,
Wahi manjilo ko par karte hai, 
Bas ek bar chalne ka hausla rakho mere dost,
Aise musafiro ka to raaste bhi intejaar karte hai.



12. Bhagwaan ka diya kabhi "ALP" Nahi Hota,
Jo beech Me Tut Jaaye Wo "SANKALP" Nahi Hota.
Haar ko Lakshya Se Dur Hi Rakhna,
Kyunki Jeet Ka Koi "VIKALP" Nahi Hota.



13. Tammannaooke aasmaan me sar uthakar to dekho ,
Kabhi apni soch ko azmakar to dekho ,
Badal jaayegi har taqdeer banne se pahle ,
Kabhi khud ko azmakar to dekho


No comments:

Post a Comment